Arrowroot ايرو روٹ : Arrowroot is root of
the plant. It is rich in starch. A carbohydrate full of energy, like
all the root vegetables these vegetables are highest in mineral content
like sodium, potassium, zinc, magnesium, phosphorous, iron, copper and
calcium.
Arrowroot are rhizome of the plant having stalk with
many branches. These are full of nutrients like vitamins and
antioxidants along with fiber. These are best for digestive tract
because of their smooth texture and easily digestible contents, it is
full of fiber and relieves acidity, and constipation and soothing for
intestinal ulcers, high mineral content provide energy and gives health
to overall body.
It also contains high amount of vitamin C,
vitamin C is antioxidant, which prevent heart attacks, prevent gum and
mouth diseases and best for healthy glow skin. Arrowroot powder is
extracted from plant and used as thickener in many cooking recipes.
Arrowroot
also has anti-inflammatory properties and used to decrease inflammatory
conditions of body like arthritis, Asthma, and skin inflammatory
disorders like eczema, psoriasis.
Some people think it not
suitable for diabetes but high fiber content in it overcomes its starchy
effects and in reality control blood sugar levels.
In this page,
we are going to discuss about arrowroot benefits and advantages and
diet in Urdu and Roman Hindi for the people of Pakistan and India.
Arrowroot Benefits in Urdu & Hindi:
Aik qisam ki aam sabzi hai jo alu ki terha zamin kay ander hoti hai.
pattay baray baray chiknay, rang bhura, zaira phika halaq mein kharash
karnewala, mizaj garam,pehlay darja mein,tar doosray darjay mein baz kay
nazdik sard tar, miqdar khurak baqadre hazam, maslah, dar chini, long,
limon, afal-o-istemal, moldo mughalaz mani hai bah ko harkat daiti hai.
Badan
farba aur taqat war banati hai. lazojant ki wajah say
khansi,khushki,sina narkharah ki khar kharahat ko rafah karti hai.
chilka is ka ishal kay liye mufid hai aur bol ka liye is kay patta ya
nichor hawa pani bohot mufid hai. is ko tanha ya gosht kay hamrah paka
kar is mein limon nichor kar istemal kiya jata hai.
Dair hazam
hai. pait mein nafakh o riyah paida karti hai. mani ko paisha aur garha
karti hai. wazan ko barhati hai. arvi ka sath zera,ajwain,kali mirach
aur anar dana istemal karnay say yeh laziz aur zud hazam ban jati hai.
NOTE: is ki ratubat mukhrish hai,pani mein bar bar dhonay say kharsh aur jazu kamzor hojata hai.
Arvi
aik lacedsar aur pasandidah sabzi hai jo jar ki sabzi hai hamaray han
arvi khaee jati h ai aur is kay pattay phaink diya jatay hain.balkay
deegar mumalik mein jahan arvi aam hai arvi ka sath pattay bhi tal kar
khai jatay hain jo mazedar aur faida mand hotay hain. Yeh mosam barsat
ki sabzi hai.
Nishasta aur vitamin C is kay ajza hain aur is ka mizaj satar-o-tar hai. Baz hakim motadil likhtay hain.
Magar
jab isay alag pakaya jai yani sada halat mein paki huee arvi srdi ki
janib raghbat rakhti hai laikin agar isay gosht kay hamrah rvi gosht ki
soorat mein salan bana kar pakaya jai to is ka mizaj motadil hojata hai.
Arvi ko bator salan istemal kartay rehnay say insane farba hojata hai.
Aurat
jo arvi ka istemal karti hai agar woh man hai to is ka doodh barhta
hai. arvi blood pressure ko khatam karnay ka kamiyab tarin zariye hai.
arvi amrazi jild ko faida daiti hai aur jil ki khushki aur shikanain
door karnay mein moawin hai.
Paishab aur masanay kay amraz ko khatam karnay kay liye bator salan arvi ka istemal bay had sud mand hai.
Arvi pakanay ka tariqa yeh hona chahiye kay isay cheel kar namak lagakar rakh dain.
Is
ka pani nikal jai to isay dholain aura lag handiya mein masalah
waghairah laga kar bhoon lain is ka shorba bana kar khana durust najhin
kiyunkay shorba bana kar khanay say in amraz mein yeh faida mand nahin
rehti is mein dar chini aur log zaroor dalna chahiye.
Arvi ka istemal mosame barsat mein ziyadah karna chahiye.
Arvi anton ki khushki door karkay in mein tari paida karti hai.
Arvi sinay ki khushki ko bhi door karnay ka azmuda nuskha hai.
Arvi
kay hamrah pakatay waqt garam masalah ka istemal lazmi cheez hai. agar
aap garam masalah istemal na karain gay to yeh sudday paida karay gi..
yeh balgham paida karti hai.
Dair hazam hai aur pait mein isay
khanay say reh paida hoti hai. woh log pait kay amraz,reh kay
marz,khansi ya ganthiya kay mariz hain wo arvi har giz istemal na
karain.
Aisay logon ko alu aur kachalu khanay say bhi parhaiz lazim
hai. woh log arvi istemal na karain jodaimi qabz kay mariz h ain. Kali
mirach, ajwain, zeerah aur anar dana kay hamrah istemal say zud hazam
hojati hai.
No comments:
Post a Comment