
Garlic ko Urdu mein Lehsun kehte hain. Lehsun (Garlic) saddiyon se istemaal hota chala aa raha hai. Qadeem tareen tibbi record ke ilawa jaded daur ki tehqeeqat aur mutalla bhi is ki afadiyat ki tasdeeq karte hain. Saddiyon purane record gawah hain ke Lehsun (Garlic) mukhtalif amraaz ki dawa ke ilawa tonic ke taur par bhi istemaal hota tha. Barre sagheer mein barson purani Hindi tib bhi Lehsun (Garlic) ke batuar tonic mutarif thi. Bal ke dawa se ziyada is ki hesiyat taqviyat bakhsh sabzi ke taur par tasleem ki jati thi. Tib Hindi ke muaalijeen garlic ko nizam e hazam ke ilawa saans ke nizam, aesabi aarzon, dauran khoon aur deegar pecheeda shikayat ke liye muassir tasleem karte the.
Garlic Benefits In Urdu
Lehsun Ke Fayde ( Benefits of Garlic )
Sanskrit ki 5 hazar saala qadeem tehreeron ke mutalle se bhi pata chalta hai ke lehsun (garlic) ki afadiyat us waqt tasleem ki ja chuki thi. Ise Misar mein dil ke amraaz ke ilawa rasoliyon, sir dard ki shikayat, pait ke keerhon se nijaat ke liye use kiya jata hai. Yunani tib mein aanton ke zakham, bachon ke qolanj, ghatiya, pechish aur allergy ke liye muassir qarar diya gaya hai.
Is se qabal ki tehzeebon ke record se bhi yeh sabit hota hai ke lehsun (Garlic) pneumonia, chest infection aur flu ki shikayat ke ilawa Ear ke dard aur Deaf ki takleef ke illaj ke liye bhi istemaal kiya jata tha.
Aaj bhi maghrabi aur Asian countries mein lehsun (garlic) ko taqatwar antibiotic jana jata hai aur ishaal mein ise mufeed qarar diya
Lehsun (Garlic) allergy ki shikayat, sharyano aur ragon ki tangi aur sakhti, ghatiya, damey, urine na rukne ki shikayat, chest problem, lungs soiling, high blood pressure aur lever problem ke liye aitemaad ke sath istemal kiya jata hai.
yeh khoon patla karne ki nibatati dawa hai. Cholesterol ki ziyadti ki soorat mein mareez se apni ghizaon mein shakal badal badal kar istemal karte hain.
Garam pani mein
Insane ke sath sath heywano ke ilaaj muaaljey ke liye bhi ise istemal mein layay jata hai. Un ki chand khas bimariyan jin mein Fungus, tongue soiling, mou ke chale, pait ka dard jaisi bimatiyan shamil hain. Garlic grind kar ke khilane se janwar sehatmand ho jate hain. Doodh dene wale janwaron ke liye bhi ise akseer nibatati tonic tasleem kiya jata hai.
Lehsun Khane Ke Fayde
Lehsun khane ke beshumaar fayde hain. Lehsun mein vitamins bhi paye jate hain.Deegar vitamins ke ilawa Calcium, Phosphorus, Iron, Iodine, Cobalt, Zinc, Sodium, Potassium, Selenium jaise maadni ajzaa maujood hote hain. Garlic se hasil hone wale extract purani soiling door karne ki umdah salahiyat rakhte hain
Pait mein aik khas germs jaise Helicobacter Pylori kaha jata hai. Alsar aur Cancer jaise mohlik amraaz is germ ki wajah se phalte pholte hain. Lehsun khane se yeh waste ho jate hain. Jin afraad ki khandani history mein Cancer shamil ho unhe bataur khas garlic ka istemal jari rakhna chaiye.
Yeh vegetable jism mein oxygen bhi peyda karti hai, is liye motape ke shikar afraad jo saans ki kami ka gila karte hain, magar exercise kar ke wazan qabo mein nahi kar pate. Mahireen taghziya inhe garlic ke istemal ki advise dete hain. Tahum agar wo tez chehal qadmi bhi kar karen to nizam e hazma ki kharabiyon ke ilawa lever par banne wale fats tissues ke negative asraat kam kiye ja sakte hain